Editor's Picks
(1-4 of 8)Happy Republic Day???
Jashan mana lo kyonki humaray neta bun gye kasai
Maro kato or Khub kro tum loot
Aazadi hai bhai tum rishvatkhoron ko hai yah choot
Yaha her chiz aaj bikati hai tum lgao bus mol
Desh jaye bhad may tum apni jaib ka muh khol
Jameen per kubjay ki baat hui hai purani
Ab to aam aadmi ki chamdi hai udhadwani
Kiska chritra kiska deshprem kiski imandari
yaha sarkar ki hai chor uchko balatkari say yari
Aisey may ab tum btao kasey jee paogay
Agar tum jwan khubsurat mahila ho to
kisi neta, afsar ya paisewalo say kub tak paogi
Bnakar tumko showpiece neelam ker de jaogi
bura mat mano yah guntanter hai
Aam aadmi or bday logo may yahi anter hai
Wo sub kukram ker kay bhi buch jayengay
Piasey ki maya hai paise ke yaar hai sarkar
Ab tum he btao kaisey buch paogay
isliye tum aaj ka jeebharker jashan mna lo
Or kal aaker apnay hathon Govt kay liye
Apna gla kta lo, apna gla kta lo.
Thanks
Alok Sharma (pagal)