Blogs >> Education & Books >>
Humanity & Politeness is disappeared from this world
I m just expressing my feelings.
Maine is duniya main rehne wale bahut se logon ko dekha....yeh hi dekhlo ki main apne state se itni door aaya yeh soch kar ki punjab mein main shayad kuch alag sa mehsoos karunga lekin jaane kyun is sansar ke logon ko kya ho gaya hai Humanity aur politeness jaisi cheez to lagta hai is duniya se gaayab hi ho gayi ho.
Main jab aise logon dekhta hun ya unki is vyavhaar ka shikaar ho jaata hun to main mann hi mann mein toot sa jaata hun. Kyunki main jab bhi kisi se baat karta hun ya koi kaam hota hai to is baat ka sabse jyada khayal rakhta hun ki kahin mere kuch kehne se koi dukhi ya naraz na ho jaye. Main sabhi se accha vyavhar rakhta hun par jaane kyun vaapas vaisa nahin paata hun.
Maine kabhi bhi kisi se apne ko jyaada nahin maana kyunki mujhe ghamand jaisi koi cheez nahin pata sabki pareshani ko samjhta hun lekin meri pareshani kisi ko dikhti hi nahin.
Main ya to jyaada hi bhavuk insaan hun ya is duniya k liye ek paagal insaan.
Haan ye saayad kuch theek ho sakta hai ki duniya sabko paagal hi samjhti hai. Chalo dekhte hain ki mere karam jyada acche hain ki un sabhi logon ke jo............
|