Nariman point ka woh kinara
Aaj fir woh sham yaad aa gayi,
Mere zahan me woh tasveer si cha gayi ,
Baitha tha sagar kinare ek patthar per,
Dekh raha tha har anne jane wale ko us path per,
Mano gher liya tha mujhe meri yadon ne,
Kuch poore toh kuch adhoore vaadon ne,
Laga tha udhed bun mein kuch gutthiyon ko suljhane ki,
Hawa kar rahi thi koshish mera dhyan bataane ki,
Mano apne ateet mein kho hi gaya tha,
un yaadon ke bistar per yu so hi gaya tha,
Koi khabar na thi kisi ke ane ki,
Na koi aahat thi lahron ke sahil se takrane ki,
Tabhi achank waqt ne li angdai,
Mere khwabon ke tootne ki awaz si ayi,
Woh awaz itni tez thi ki main kuch sun nahi paya,
Na jane kuch mere seene se aa takraya,
Kya hua uske baad mujhe pata nahi,
Janta hun meri yadon ki koi khata nahi,
Dard hua dil me, ankho per andhera sa chha gaya,
Ek jalta hua angara mere bheetar sama gaya,
Hosh aya toh sab kuch badal chuka tha,
Waqt mano hath se nikal chuka tha,
Kafi waqt lag gaya khud ko samjhane mein,
Ki kiska hath tha mujhe is haal mei pahuchane mein.
Kash koi mita de us sham ki yadon ko mere zahan se,
Jab mai baitha tha us kinare per sukun se,
Ab toh hospital hi ghar sa lagta hai,
Har apna beghar sa lagta hai,
Na jane kab in pattiyon se azad ho paunga,
Wapas apne pairon per chal ke dikhaunga,
Ghar wale kahte hain wahan na jana dobara,
Bada bedard hai woh nariman point ka kinara,
Chala gaya de ker zindagi ko nasoor,
Mere sare sapne kar diye chaknachoor,
Kar raha hoon us waqt ka intezar,
Jab khada ho paunga apne pairon per ek bar.
|