Railway Budget 2009 aur mugeri laal ke sapne
Vishwa Samvad Kendra Kanpur ne Railway Budget 2009 par Kanpur UP me ek surve karaya jiske pramukh nishkarsha ye hain
Sri Mati Mamta ne rail budget 2009-10 loksabha main pada. Sunkar bahut achchha laga. Lekin iski adhikansha ghoshnaye sirf bolne tak hi simit rahne vali hain. unka kuchh bhi nahi hone wala.
1. Sabse pramukh baat Bhartiya railway is samay apni aay ka 90% kharch kar rahi hai. Aisi isthiti me in ghoshnao ke liye paise kaha se aayege. Iske liye unhone PPP(Public Private partnership) model ko chuna hai. Lekin jara jara se ghate par rahat ki maang karne wale niveshak sirf un yojnao par hi paise lagayege jaha unhe fayda nazar aayege. Is paristhiti me un 50 stationo jinhe vishwa stariy banane ki baat chal rahi hai, yadi unme se aadhe stationo ko niveshak mil jaye to bahut badi baat hogi.
2. Lambi duri ki traino me manoranjan ki suvidha sun ne main achha lagta hain par jin traino main loot paat aur suraksha se jude ek prashna ke uttar me Mamta ji ne kaha ki ye Rajya sarkar ki jimmedari hai. Aise me jab aadmi surakshit nahi hai to ye manoranjan ke saadhan yadi lag bhi gaye to kitne dino tak chalege. Aur jyadi sirf AC dibbo tak simit rah gaye to is se aam aadmi ko kya laabh.
3. Suraksha ek bada sawal pahle bhi raha hai. Lekin in par kuchh bhi nahi hua hai. Mamta ji ne mahilao ki suraksha ki baat to ki hain par is ki koi taya samay seema ya koi karya yojana bata pane main wo nakaam rahi.
4. Nayi train chalane ki baat har Budget main hoti hai. Lekin purani traine jo signal na mil pane ki wajah se ya aanya karno se deri se chalti hai un par koi dhyan nahi diya jata hai. Abhi bahut badi sankhya main traine deri se chal rahi hain nayi traino ke chalne ke baad yah sthiti aur kharaab ho sakti hai. Videsho main traino ki speed 200 km/hr se bhi jyada hoti hai par bharat main kitni aisi traine hain jinki avg. speed 100 km/hr ho ungaliyo par gini ja sakti hain
5. unhone kaha hain ki double daikar train chalayege. lekin yah kaise sambhav hai. kyoki abhi hamare paas aise coach aur engine nahi hain dusari baat inhe koyle se hi chalana hoga kyoki inke liye electricity wire wale route par anya traino ke liye wiring main dikkat ayegi agar wo route in traino ke hisaab se kar diye gaye to.
6. Mamta ji ne 1500rs prati mahine kamane walo ke liye 25rs maasik par train paas dene ki baat ki hai. par aise kitne log hain jinko har mahine train me safar karne ki jarurat padti hai. Ve iske liye aaya praman patra kaha se layege.
7. Yah Budget aage aane wale chunavo ko dekh kar banaya gaya hai. isme is baat ka bilkul bhi dhyaan nahi rakha gaya hai ki kaun si ghoshnaye puri bhi ki ja sakti hai ya nahi.
|